Thursday, January 3, 2013

Wo ek teer hai jis ka shikar main bhi hoon

Wo ek teer hai jis ka shikar main bhi hoon
Main ek harf sahi dil ke paar main bhi hoon

Wo samne raha dariya ka dusra sahil
Agar jahaaz na duba to paar main bhi hoon

Kise khabar hai ke soye samandaron ki tarah
Bahut dino se bahut beqarar main bhi hoon

Yahan to maut ka sailaab aata rehta hai
Bahut bacha tha magar abki baar main bhi hoon

Use to kher bahut kuchh kaha suna maine
Wo khush nahi hai magar beqarar main bhi hoon

Na jaane kis ke muqaddar main wo likha hoga
Magar ye sach hai ke ummidwar main bhi hoon

No comments: