Thursday, January 3, 2013

Abhi to sirf parinde shumar karna hai

Abhi to sirf parinde shumar karna hai
Ye phir batayenge kiska shikar karna hai

Ye teri peeth hai ae mere bekhabar dushman
Magar mujhe tere seene pe war karna hai

Hum apne shahar main mehfooz bhi hain khush bhi hai
Ye sach nahi hai magar etbaar karna hai

Hamara shauk hai dar o rasan ki paimaish
Tumhara kaam kabutar shikaar karna hai

Tujhe kabile ke kanoon todna honge
Mujhe to sirf tera intezar karna hai

Bahut guroor hai tujhko ae sarfire tufaan
Mujhe bhi zid hai ke dariya ko paar karna hai

No comments: