Thursday, January 3, 2013

Mohabbat main tumhey ansu bahana tak nahin aya

Mohabbat main tumhey ansu bahana tak nahin aya
Banaras main raheyy aur paan khana tak nahin aya

Na jaaney log kaisey mom kar letey hain patthar ko
Hamey to aap ko bhi gudgudana tak nahin aya

Shikari kuch bhi ho itna sitam accha nahin hota,
Abhi to chonch main chidya k dana tak nahin aya

Ye kaisey raste se leke tum mujhko chaley aye,
Kahan ka maikada ek chaykhana tak nahin aya.

No comments: