Thursday, January 3, 2013

sath chaltey aa rahey hain paas aa saktey nahin

sath chaltey aa rahey hain paas aa saktey nahin
ek nadi k do kinaron ko mila saktey nahin

deney waley ne diya sab kuch alag andaz sey
samney duniya pari hai aur utha saktey nahin

iski bhi majbooriyan hain meri bhi majbooriyan hain
roz miltey hain magar ghar me bata saktey nahin

Kisney kiska naam eent pe likha hai khoon sey
Ishtiharon sey ye deewareyn chupa saktey nahin

uski yaadon sey mehekney lagta hai sara baadan
Pyar ki khushboo ko seeney main chupa saktey nahin

Raaz jab seeney sey bahar ho gaya apna kahan
ret pe bikhrey huye ansu utha saktey nahin

No comments: