Thursday, January 3, 2013

Mohabbat karne waalaa zindgi bhar kuchh nahi kahtaa;

Mohabbat karne waalaa zindgi bhar kuchh nahi kahtaa;
ki dariyaa shor kartaa hai samandar kuchh nahin kahtaa.

to kyaa majbooriyaann be-jaan cheezein bhi samajhti hain;
gale se jab utartaa hai to zewar kuchh nahin kahtaa.

badaa gahraa nashaa hotaa hai maidaanon mein marne kaa ;
ki jaan dete huye lashkar kaa lashkar kuchh nahin kahtaa.

hamaari iltijaayen be-zubaan bachchon k jaisi hain;
bazaahir to kisi se ret kaa ghar kuchh nahin kahtaa.

hameshaa sabr ko ruswaa kiyaa hai bheegi aankhon ne;
zaroorat cheekh padti hai gadaagar kuchh nahin kahtaa.

mere dil se mere chehre kaa samjhautaa maze kaa hai;
ye andar kuchh nahin kahtaa wo baahar kuchh nahin kahtaa............

No comments: