Thursday, November 1, 2012

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahi imkaan jaana

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahi imkaan jaana
yaad kyaa tujh ko dilaayen tera paimaan jaana

yun hi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana

zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehasaan jaana

dil ye kahata hai ki shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai naada jaana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhi tera chehara thaa gulistaan jaana

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-miina sulag uThi ki rag-e-jaan jaana

muddaton se ye aalam na tavaqo na ummid
dil pukaare hi chalaa jaata hai jaanaan jaana

No comments: