Tuesday, January 15, 2013

Hum bhi talwaar chalaney ka hunar jaantey hayn.....


Sulah karne ko bhi jeene ka hunar jaante hain
Warna hum jung ke maidaan ko ghar jaante hain

Ye alag baat ke pasti main padey hain warna
Chaand taaron ko toh hum raahguzar jaante hain

Koi aangan hai daricha hai na guldaan na phool
Log deewarein utth lene ko ghar jaante hain

Phool ki shaakh pe likh bhejo ke ae dushman e amn
Hum bhi talwaar chalaane ka hunar jaante hain

Mere Allah meri touba ko qaayam rakhna
Kuchh sharaabi hain jo ab bhi mera ghar jaante hain


....Incredible Rahat :)

No comments: