Sunday, January 6, 2013

Asar usko zara naheen hota

Asar usko zara naheen hota 
Ranj, raahat fiza naheen hota 

Tum hamare kisi tarah na hue
Warna dunya mein kia naheen hota

Narsa’ee se dam ruke to ruke
Mein kis se khafa naheen hota

Tum mere paas hote ho goya
Jab koi doosra naheen hota

Haal-e-dil yaar ko likhoon kiyun kar
Haath dil se juda naheen hota

Chaar-ae-dil siwa’e sabr naheen
So tumhare siwa naheen hota

Kiyun sune arz-e-muztar aey Momin
Sanam aakhir khuda naheen hota

No comments: