Sabhi ka dhoop se bachne ko sar nahin hota
Har aadmi ke muqaddar mein ghar nahi hota,
Kabhi lahoo se bhi tareekh likhni padti hai
Har ek maarka baton se sar nahin hota,
Main uski aankh ka aansu na ban saka varna
Mujhe bhi khaak mein milne ka dar nahi hota,
Mujhe talaash karoge to fir na paaoge
Main ek sada hoon sadaon ka ghar nahi hota,
Hamari aankh ke aansu ki apni duniya hai
Kisi faqeer ko shahon ka dar nahi hota,
Main us makan mein rehta hoon aur zinda hoon
Jismein hawa ka guzar nahi hota.