Saturday, March 8, 2014

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya
Baton ke tezaab main mere mann ka amrut ghol diya

Jab bhi ko inaam mila hai mera naam bhi bhool gaye
Jab bhi koi ilzaam laga hai mujh par laakar dhol diya
 
Haath ke chhale paaon ke kaante aankh main aansoo dil ka dard
Tune mujhko pyaar main jo bhi tohfa diya anmol diya

Ab gham aayen khushiyaan aayen maut aaye yaa tu aaye
Maine to bas aahat paayi aur darwaza khol diya

Jitna khushi se rishtaa mera utna gam se naata hai
Maine ek mizaan main apna saara dukh sukh tol diya 
Raahat Indori

No comments: