Saturday, July 13, 2013
Yeh Hum Jo Hijr Mai Deewar-O-Dar Ko Dekhte Hain

Kabhi Saba Ko Kabhi Nama’bar Ko Dekhte Hain
Wo Aaen Ghar Mai Hamare Khuda Ki Qudrat Hai
Kabhi Hum Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain
Nazar Lage Na Kahin Us Ke Dast-O-Zaboo Ko
Yeh Log Kiyu Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain
Tere Jawahir-E-Taraf-E-Kala Ko Kiya Dekhen
Hum Uuj-E-Talaa-E-Laal-O-Gohar Ko Dekhte Hain...

zikr us parivash ka, aur phir bayaan apna

ban gaya raqeeb aaKhir tha jo raazdaan apna
mai woh kion buhat peete bazm-e-Ghair mein ya rab
aaj hi huwa manzoor un ko imtihaan apna
manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se idhar hota kaash ke makaan apna
de woh qadar zillat ham hansi mein talain gay
baaray aashna nikalaa un ka pasbaan apna
dard-e-dil likhon kab tak? Jaon un ko dikhla duun
ungliyan figaar apni Khaama Khuun_chakaan apna
ghiste ghiste mit jata aap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-aastaan apna
taa kare na Ghamazi, kar liya hai dushman ko
dost ki shikaayat mein hum ne hum-zubaan apna
ham kahan ke daana thay, kis hunar mein yaktaa thay
be_sabab huwa 'Ghalib' dushman aasmaan apna..

Bas-Ke Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaa'n Hona

Aadmii Ko Bhi Muyassar Nahi'n Insaa'n Hona

Ye jo hum hijr mein divar-o-dar ko dekhte hain

kabhi saba ko kabhi namabar ko dekhte hain
wo aaye ghar mein hamare khuda ke kudarat hai
kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain
nazar lage na kaheen usake dast-o-bazu ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhte hain
tere javahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen
hum auj-e-tala-e-lal-o-guhar ko dekhte hain

Monday, July 1, 2013
apane har har lafz kaa Khud aa_iinaa ho jaa_uu.Ngaa

us ko chhoTaa kah ke mai.n kaise ba.Daa ho jaa_uu.Ngaa
tum giraane me.n lage the tum ne sochaa hii nahii.n
mai.n giraa to masalaa ban kar kha.Da ho jaa_uu.Ngaa
mujh ko chalane do akelaa hai abhii meraa safar
raastaa rokaa gayaa to qaafilaa ho jaa_uu.Ngaa
saarii duniyaa kii nazar me.n hai meraa ahad-e-vafaa
ek tere kahane se kyaa mai.n bevafaa ho jaa_uu.Ngaa
Subscribe to:
Posts (Atom)