Saturday, July 13, 2013

zikr us parivash ka, aur phir bayaan apna

zikr us parivash ka, aur phir bayaan apna
ban gaya raqeeb aaKhir tha jo raazdaan apna

mai woh kion buhat peete bazm-e-Ghair mein ya rab
aaj hi huwa manzoor un ko imtihaan apna

manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
arsh se idhar hota kaash ke makaan apna

de woh qadar zillat ham hansi mein talain gay
baaray aashna nikalaa un ka pasbaan apna

dard-e-dil likhon kab tak? Jaon un ko dikhla duun
ungliyan figaar apni Khaama Khuun_chakaan apna

ghiste ghiste mit jata aap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-aastaan apna

taa kare na Ghamazi, kar liya hai dushman ko
dost ki shikaayat mein hum ne hum-zubaan apna

ham kahan ke daana thay, kis hunar mein yaktaa thay
be_sabab huwa 'Ghalib' dushman aasmaan apna..

No comments: