Saturday, January 19, 2013

na mai kanghi banata hoon na mai choti banata hoon

na mai kanghi banata hoon na mai choti banata hoon
ghazal me aap biti ko mai jag biti banata hoon

ghazal wo tif ne nazuk hai jise apni rifaqat se
wo mehbooba banata hai mai beti banata hoon

mere aagan ki kaliyo ko tamanna shahzadon ki
magar meri bhi majboori k mai bidi banata hoon

wazarat chand ghanto ki mahal meenaar se ooncha
mai aurangzeb hoo apne liye khichdi banata hoon.

Ajnabi khwahishen seene main daba bhi na sakoon

Ajnabi khwahishen seene main daba bhi na sakoon
Aise ziddi hain parinde ke uda bhi na sakoon

Foonk daloonga kisi roz ye dil ki duniya
Ye tera khat to nahi hai ke jala bhi na sakoon

Meri gairat bhi koi shaye hai ki mehfil main mujhe
Usne is tarah bulaya hai ki jaa bhi na sakoon

Ek na ek roz kahin dhoond hi loonga tujhko
Thokaren zahar nahin hain ki main kha bhi na sakoon

Phal to sab mere darakhton ke pake hain lekin
Itni kamzor hain shaakhen ki hila bhi na sakoon

Teergi chaand ke zeene se sahar tak pahunchi

Teergi chaand ke zeene se sahar tak pahunchi
Zulf kaandhe se jo utari to kamar tak pahunchi

Maine puchha tha ke ye haath main patthar kyun hai
Baat jab aage badi to mere sar tak pahunchi

Main to soya tha magar barha tujhse milne
Jism se aankh nikalkar tere ghar tak pahunchi

Tum to suraj ke pujari ho tumhe kya maloom
Raat kis haal main kat kat ke sahar tak pahunchi

Log to sirf kharabi pe nazar rakhte hain
Mere aibon ki saza mere hunar tak pahunchi

Paas se dekho jugnu aansu, dur se dekho tara aansu

Paas se dekho jugnu aansu, dur se dekho tara aansu
Mai phoolon ki sej pe baita aadhi raat ka tanha aansu

Mausam ki khushbu me aksar gum ki khushbu mil jaati hai
Aamo ke baago me kaise saawan saawan barsa aansu

Apne bachpan ka kissa hai ek tasveer banayi us ne
Mehandi wale haat rache the beech hateli tapka aansu

Ek gaon me do baaratein shayad dulha badal gaya hai
Meri aankh me tera aansu teri aankh me mera aansu

Meri aankhon ne aksar gum ke dono pehlu dekhe
Thehar gaya pathtar aansu, beh nikla to dariya aansu

Pyar ajab talwar hai jis pe hum dono ke naam likhe the
Tehni tehni kaliyan aansu, paththar paththar jharna aansu

Shaam ne jab palkon pe aatishdaan liya

Shaam ne jab palkon pe aatishdaan liya
Kuchh yadon ne chutki main lobaan liya

Dhadkan dhadkan naam tumhara leti hai
Basti bhar ne jane kaise jaan liya

Pyaas to apni saat samndar jaisi thi
Nahak hamne barish ka ehsaan liya

Khushiyon ka behroop dhare ham nikle the
Pehle qadam par gam ne kaha pehchan liya

Kitne sukh se dharti od ke sote hain
Hamne apni maan ka kehna maan liya

Roz taaron ko numaaish main khalal padta hai

Roz taaron ko numaaish main khalal padta hai
Chand pagal hai andhere main nikal padta hai

Main samandar hun kudali se nahi kat sakta
Koi fawwara nahi hun jo ubal padta hai

Kal wahan chand uga karte the har aahat par
Apne raste main jo viraan mahal padta hai

Na ta aaruf na ta alluk hai magar dil aksar
Naam sunta hai tumhara uchhal padta hai

Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo
Dhadkano se bhi ibadat main khalal padta hai

Safar ki had hai wahan tak ke kuch nishan rahe

Safar ki had hai wahan tak ke kuch nishan rahe
Chale chalo ke jahan tak ye asman rahe

Ye kya uthaye qadam aur aa gaii manzil
Maza to jab hai ke pairon may kuch thakaan rahe

Wo shakhs mujh ko koi jalsaaz lagata hai
Tum us ko dost samajhate ho phir bhi dhyan rahe

Mujhe zameen ki geharaion ne daab liya
Main chahata tha mere sar pe asman rahe

Ab apane beech marasim nahin adawat hai
Magar ye baat hamare hi darmiyaan rahe

Magar sitaron ki faslen uga saka na koi
Meri zameen pe kitane hi asman rahe

Wo ek sawal hai phir us ka saamana hoga
Dua karo ke salamat meri zaban rahe