Thursday, November 1, 2012

koi diwana kehta hai koi pagal samjhta hai,

koi diwana kehta hai koi pagal samjhta hai,
magar dharti ki bechani ko bus badal samjhta hai,
main tujh se dur kaisa hon,tu mujh se dur hai kaisi,
ye tera dil samjhta hai ke mera dil samjhta hai

Haan judai sey darta hai dill....



Haan judai se darta hai dil
mout se to mai darti nahi
aur darti to sun le sanam
pyar tujhse mai karti nahi......


ek armaan is paar hai
ek arman us paar hai
humne khud hi banai thi jo
raste mai wo deewar hai
ek khushi dil ne kya mang li
har khushi ko nazar lag gai
zindagi jab kareeb aai to
zindagi ko nazar lag gai

ab tamanna ho dil me koi
mai tamanna bhi karti nahi

aur darti to sun le sanam
pyar tujhse mai karti nahi


man se man ka hai bandhan agar
tan mile na mile kuch nahi

man ka chandan mahakta rahe
man sab kuch hai tan kuch nahi

aasmano me kho jaiga
dastano me so jaiga
tan kissi roz ban ke dhuaa
in hawao ka ho jaiga

pyar rahta hai zinda sada
aatma hai marti nahi
aur darti to sun le sanam
pyar tujhse mai karti nahi

Gham ka mausam guzarta nahin
Zakham yaadon ka bharta nahin
Raat parbat hai kat ti nahin
Din hai dariya utar - ta nahin
Meri neendon mein a jayegi
Dhoop suraj ka khanjar liye
Todne mera dil aayega
Chand haathon mein paththar liye

jo jhale the humare liye
bhujh rahe hain wp sare diye
kuch andhero ki thi sajishein
kuch ujalo ne dhoke diye
ruk gai jane kis mpd par
zindagi kyu gujarti nhi

aur darti to sun le sanam
pyar tujhse me karti nahi

Yadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahi Dete

Yadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahi Dete
Jo Ja Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahi Dete

Mujhrim Hu Nain Tera Mujhe Itna To Bata
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahi Dete

Mujhe Jis Ke Zakham Hain Inayat Teri
Gar Hai Tumhare Pas To Dawa Kyon Nahi Dete

Kaye Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki Wajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahi Dete

Maine Tumhari Khatir Kya Kya Nahi Kiya
Tum Meri Wafaon Ka Sila Kyon Nahi Dete

Tumhein Mujhse Mohabbat Hai Janta Hun Mai
Ye Bat Apne Lab Se Bata Kyon Nahi Dete

Anmol Khazana Hai Muskurahten Teri
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahi Dete

Wo Aag Jo Dil Me Lagai Thi Kabhi Tumne
Wo Aag Aaj Khud Hi Bujha Kyon Nahi Dete

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Hum ko
Mera Chain Meri Neend Lauta Kyon Nahi Dete

Hatheli Saamne Rakhna,

Hatheli Saamne Rakhna,
Ke Sab Aansoo Gire Usme…
Jo Ruk Jaayega Honthon Par,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,
To Aankhen Band Kar Lena…
Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Jo Jyaada Yaad Aaun Main,
To Ro Lena Jee Bhar Ke…
Agar Hichki Koi Aaye,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Agar Tum Bhoolna Chaaho,
Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum…
Magar Jab Saans Lena Tum
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

***BABA MUJHKO DARR LAGTA HAI**

***BABA MUJHKO DARR LAGTA HAI**

Baba !! meri Miss kehti hein
kal say sab bacho ko apnay
ghar parhna hai , ghar rehna hai !!

mai nay suna hai!!

aik barhey say ,
Kaali moocho'n walay "uncle"
BOMB baandh ker aien gay
sabh bachey mer jaein gay!!!

Bhool gayeee mein naam bhala tha !!
shayad "DEHSAT-Gard " Kaha tha !!

Baba ! Kioo marein gay hum ko ?
Hum say koi bhool hui kia ?
Hum say kia naraz hein Uncle ?

baba !! unko Guriya day dun ??
Ya phir mairi rangu wali
yaad hai na woh neeli Dibya
mairi pichli saalgirah per
aap nay mujhko laa ker di thi !!

Or meri woh piyaari poni !!
red Color ki , Titli wali !!
Who bhi day doon ??
Phir tou nahi marein gay mujhko ?

Yaad hai baba aik dafa jab
mujhko haath pay chot lagi thi
Bohat zayada dard hua tha
Thora Khoo'n bhi nikla tha !!
Bohat zayada roii thi mein .

Kya Yeh BOMB barha hota hai ?
Bohat zayada chot lagay gi ?
Dard bhi shayad zayada ho ga !!

"baba mujhko darr Lagta hai !!! ""


( KALAM : ATIF JAVED ATIF )

aankh se duur na ho dil se utar jaayega

aankh se duur na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega

itna maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apani
tu kabhi Khud ko bhi deikheygaa to Dar jaayega

tum sar-e-raah-e-wafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayega


zindagi terii ataa hai to ye jaanevaalay
teri baKhshiish teri dahaliz pe dhar jaayega


Doobate Doobate kashti to ochhaalaa dey doon
main nahin koi to saahil pe utar jaayega

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na royega to mar jaayega

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahi imkaan jaana

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahi imkaan jaana
yaad kyaa tujh ko dilaayen tera paimaan jaana

yun hi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana

zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki teraa ehasaan jaana

dil ye kahata hai ki shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai naada jaana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhi tera chehara thaa gulistaan jaana

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-miina sulag uThi ki rag-e-jaan jaana

muddaton se ye aalam na tavaqo na ummid
dil pukaare hi chalaa jaata hai jaanaan jaana