Saturday, October 26, 2013

ہتھیلی پر لیے دل عشق کے بازار میں آئے


ہتھیلی پر لیے دل عشق کے بازار میں آئے
ہم اک ٹوٹا کھلونا بیچنے بے کار میں آئے

بہت انمول تھے جذبے دلوں میں قید تھے جب تک
بہت ہلکے ہوئے جب پیکرِ اظہار میں آئے

سبھی نے ہم کو سمجھایا قدم مت عشق میں رکھنا
مگر ہم بے دھڑک اس وادی ِ پر خار میں آئے

ہوا جب سامنا تیرا تو سب ُسدھ بدُھ گئی اپنی
بہت پندار میں تھے جب تری سرکار میں آئے

بہت محدود ہیں سوچیں سو تُجھ کو پا نہیں سکتیں
تو لا محدود ہے کیسے مرے افکار میں آئے

مری دیوا نگی کو صرف وہ انسان سمجھے گا
ڈبو کر کشتیاں جو عشق کی منجدھار میں آئے

میں پابندِ سلاسل ہوں ، مری روح رقصِ پیہم میں
انا الحق کی صدا اس رقص کی جھنکار میں آئے

محبت مُشک کی صورت چھپائے سے نہیں چھپتی
عمل بن کر کبھی مہکے کبھی گفتار میں آئے

مرے خالق کا کوئی فعل بے مقصد نہیں ہوتا
کوئی حکمت تو ہو گی ہم جو اس سنسار میں آئے

جو دنیا کی نگاہوں میں خسارہ ہی خسارہ ہے
مرے دل کو مزہ اس ایک کارو بار میں آئے

انا کی آہنی بیڑی کو توڑا ایک جھٹکے سے
دھمالیں ڈالتے پھر ہم ترے دربار میں آئے

تری خواہش نے میری روح میں ہلچل مچا دی ہے
کہ پیہم زلزلہ سا اک در و دیوار میں آئے

بہت سے ذائقے کڑوے کسیلے مجھکو چکھنے ہیں
عجب کیا چاشنی آخر مرے اشعار میں آئے

یہ ہر آئے گئے سے تیرے قصے چھیڑ دیتا ہے
دلِ ناداں کو کتنا لطف ذکرِ یار میں آئے

ہماری چپقلش میں اک مزہ مخفی ہے جو دائم
مجھے اقرار میں آئے تجھے انکار میں آئے

محبت کے تری طوق و سلاسل جب سے پہنے ہیں
مجھے ساتوں سُروں کا لطف اس جھنکار میں آئے

خوشی کے دن بھی اپنے دل کی ویرانی کچھ ایسی ہے
ہوں جیسے ہم غریبوں کے کسی تہوار میں آئے

اگر میں کھل کے رو پاؤں تو شائد وحشتیں کم ہوں
دُھلیں یہ تلخیاں ، نرمی مری گفتار میں آئے

امنگوں کی جگہ اب حسرتوں کی دھول اڑتی ہے
میں اک خواہش ہوں ایسی جو دلِ نادار میں آئے

یہاں سے کوئی کوئی جاں سلامت لے کے جاتا ہے
ہمیں تھے سر پھرے ، اس وادیِ دشوار میں آئے

جنونِ عشق ہے یہ یا کہ ہے سودائی پن اپنا
مزہ اس دل کو اس کی جیت اپنی ہار میں آئے

جسے اُجڑے مکاں ویراں کھنڈر عرؔشی لبھاتے ہوں
وہ آئے شوق سے میرے دلِ مسمار میں آئے

Na koi ilzaam, Na koi tanz, Na koi ruswai Mir,

Na koi ilzaam, Na koi tanz, Na koi ruswai Mir,
Din bohat ho gaye yaron ne koi enayat nahi ki...

Tujhe Bhoolne Ko Ik Pal Chaiye,

Tujhe Bhoolne Ko Ik Pal Chaiye,
Wo Pal Jisy Maut Kehte Hain Log…

Jaan pyari bhi Nhi, Jaan se jaate bhi Nahi ...!!!!

Ho chuka Qataa-Ta'alluq to JafaayeN kyun ho..
jin ko Matlab Nhi rehta wo Sataate bhi Nhi ...!!

Zeest se Tang ho ae "Daagh" to Jeete kyun ho...!!!!!
Jaan pyari bhi Nhi, Jaan se jaate bhi Nahi ...!!!!

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,

Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…

Tamaam khawaisheN rahi zehan maiN mere

Tamaam khawaisheN rahi zehan maiN mere
Har baat wo qabooli jaati,ye laazmi na tha

Naseeb to liye Aaye the jahaaN main
Muqaddar sath ho, ye to gawara na tha

Bahot rahe sang e yaar zamane
Har shaqs se wafa mileN,ye gawara na tha

Mere hathoN kayiN lakeereN khiich daali us khuda ne
Ki mout ne Aa mera jisam hi mita dala

Main-main kahaN gayi phir,wo gharoor kahaN
Aakhir Qabar ne mera mujhe,thhikana dikha dala

Kya duN alfazeN bayaa e-insaaN jahaaN main
Mout ne zindgi ko kya AndaazE “NAZARA” dikha dala

wo bhi saraahne lage arbaab-e-funn ke baad

wo bhi saraahne lage arbaab-e-funn ke baad
daad-e-sukhan mili mujhe tarq-e-sukhan ke baad

deewanwaar chaand se aage nikal gaye
thehra na dil kahin bhi teri anjuman ke baad

eelaan-e-haq main khatra-e-daar-o-rasan to hai
lekin sawaal ye hai ke daar-o-rasan ke baad

insaan ki khwaahishon ki koyi intehaa nahi
do ghaz zameen bhi chahiye do ghaz kafan ke baad

honthon ko see ke dekhiye pachataaiyegaa aap
fitne bhi jaag uthte hain aksar ghutan ke baad.

mudat hooi hai yaar ko mahmaN kiye hue

mudat hooi hai yaar ko mahmaN kiye hue
josh e qadah se bazm charaghaN kiye hue
phir shauq kar raha hai khareedar ki talab
arz e mata'e aql o dil o janaN kiye hue
mangey hai phir kisi ko lab e baam per hawas
zulf e siyah rukh pe pareshaN kiye hue
phir ji main hai k dar pe kisi k pare rahein
sir zer e baar e minat e darbaN kiye hue
ji dhoondhta hai phir wohi fursat k raat din
baithey rahein tasawar e JanaN kiye hue
Ghalib humein na chherr k phir josh e ashk se
baithe haiN hum tahiya e toofaN kiye hue

( Ghalib )

Na Bazm Apni, Na Saqi Apna,Na Sheesha Apna Na jaam Apna,

Na Bazm Apni, Na Saqi Apna,Na Sheesha Apna Na jaam Apna,
Agar Yahi Hai Nizam-e-Hasti to GHALIB, Zindagi ko Salam Apna...

Thaki''Tooti Huwi Neendon K Darmiyan Aksar,

Thaki''Tooti Huwi Neendon K Darmiyan Aksar,
Bahot Chupke Se Jaag Uthti Hain Teri Yaadein.

Itne Jhatkay Say to Parbatt Bhi Ukharr Jaatay Hain,

Itne Jhatkay Say to Parbatt Bhi Ukharr Jaatay Hain,
Tu ne Dheeray se to Damann Ko Chhurayaa Hota..!!!!!!

Friday, October 25, 2013

Meri fitrat mein hi nanhi apna ghum bayaan karna,

Meri fitrat mein hi nanhi apna ghum bayaan karna.........
tere wajood ka hissa hoon to mehsoos kar takleef meri.

Mujh Se Mat Kah, Tu Humein Kahta Tha Apni Zindgi

Mujh Se Mat Kah, Tu Humein Kahta Tha Apni Zindgi
Zindgi Se Bhi Mera Jii In Dino'n Be-zaar Hai

din ko bhi yahaaN shab ki siyaahi kaa samaaN hai

din ko bhi yahaaN shab ki siyaahi kaa samaaN hai
kahte haiN yeh aaraam-gah-e-Noor JahaaN hai
muddat hui woh shamma tah-e-Khaak-i-nihaaN hai
uThtaa magar ab tak sar-e-marqad se dhu'aaN hai

jalvoN se ayaaN jin ke hua toor kaa aalam
turbat peh hai un ki shab-i-daijoor kaa aalam

.....

ai Husn-i-jahaaN-soz, kahaaN haiN woh sharaare
kis baaGh ke gul ho gaye kis arsh ke taare
kyaa ban gaye ab kirmak-e-shab-taab woh saare
har shaam chamakte haiN jo raavi ke kinaare

yaa ho gaye woh daaGh JahaaNgir ke dil ke
qaabil hi to the aashiq-e-dilgeer ke dil ke

.....

taaveez-e-lahad hai zabar-o-zer yeh andher
yeh daur-i-zamaanah ke ulaT-pher, yeh andher
aaNgan meN paRe gard ke haiN Dher, yeh andher
ai gardish-e-ayyaam, yeh andher yeh andher

maah-e-falak-e-Husn ko yeh burj milaa hai
aye charKh teri hech-navaazi kaa gilaa hai

.....

Hasrat hai Tapakti dar-o-deevaar se kyaa kyaa
hotaa hai asar dil peh in aasaar se kyaa kyaa
naale haiN nikalte dil-e-afgaar se kyaa kyaa
uThte haiN sharar aah-e-sharar-baar se kyaa kyaa

hai aalam-e-tanhaai yeh daryaa kaa kinaarah
hai tujh si haseenah ke liye huu kaa nazaarah

.....

chau-paaye jo ghabraate haiN garmi se to aksar
aaraam liyaa karte haiN is rauze meiN aa kar
aur shaam ko baalaai siyah-KhaanoN se shappar
uR-uR ke lagaagte haiN dar-o-baam peh chakkar

maamur hai yuN mehfil-e-jaanaaN nah kisi ki
aabaad rahe gor-i-GharibaaN nah kisi ki

.....

aaraastah jin ke liye gul-zaar-o-chaman the
jo naazuki meiN daaGh-dih-e-barg-e-saman the
jo gul-ruKh-o-gul-pairahan-o-Ghunchah-dahan the
shaadaab gul-e-tar se kahiN jin ke badan the

paZmurdah woh gul dab ke hue Khaak ke neeche
Khvaabeedah haiN Khaar-o-Khas-o-Khaashaak ke neeche

.....

rahne ke liye deedah-o-dil jin ke makaaN the
jo paikar-e-hasti ke liye rooH-i-ravaaN the
mehboob-e-dil-e-Khalq the, jaaN-baKhsh-e-jahaaN the
the Yusuf-e-saani keh Masihaa-e-zamaaN the

jo kuchh the kabhi the magar ab kuchh bhi nahiN haiN
TooTe hue pinjar se paRe zer-i-zamiN haiN

.....

dunyaa kaa yeh anjaam hai dekh aye dil-e-naadaaN
haaN bhool nah jaaye tujhe yeh madfan-e-veeraaN
baaqi haiN nah woh baaGh nah woh qasr nah aaivaaN
aaraam ke asbaab nah woh aish ke saamaaN

TooTaa hua ek saaHil-e-raavi peh makaaN hai
din ko bhi jahaaN shab ki siyaahi kaa samaaN hai

Munshi Tilok Chand Mehroom

Kehin kya jo puche koi ham se Meer ?

Kehin kya jo puche koi ham se Meer ?
Jahaan mein tum aaye the.... Kya kr chale?

Us Ka Ishq Chand Jaisa Tha..

Us Ka Ishq Chand Jaisa Tha..
Poora Hua To Ghatne Laga...!!