Saturday, January 19, 2013

agar khilaf hain..... honey do.....jaan thori hai

agar khilaf hain..... honey do.....jaan thori hai
ye sab dhuwan hai.. koi asmaan thori hai

lagegi aag to ayengey ghar kayi zad me
yahan pe sirf hamara makaan thori hai

main janta hun k dushman bhi kam nahin lekin
hamari tarah hatheli pe jaan thori hai

hamarey munh sey jo nikley wahi sadaqat hai
hamarey munh me tumhari zabaan thori hai

jo aaj sahib-e-masnad hain kal nahin hongey
kirayedaar hain ... zati makan thori hai

sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti me
kisi k baaap ka hindustaan thori hai

sar jhukaogey to patthar bhi dewta ho jayega

sar jhukaogey to patthar bhi dewta ho jayega
itna mat chaho usey, wo bewafa ho jayega...

hum bhi darya hain, hamay apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal parengey rasta ho jayega

kitni sacchai sey mujhsey zindagi ney keh diya
too nahin mera to koi dusra ho jayega

main khuda ka naam lekar pee rahahun doston
zehar bhi ismey agar hoga, dawa ho jayega

sab usi k hain , hawa, khushbu , zamin-o-asman
mian jahan bhi jaunga usko pata ho jayega

rooth jana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya khabar thi mujhse wo itna khafa ho jayega

Taraqqi kar gaye beemariyon k saudagar

Taraqqi kar gaye beemariyon k saudagar
ye sab mareez hain jo ab dawayen karney lagey


jhulas rahey hain yahan chaanw batney waley
wo dhup hai k shajar iltejayen karney lagey


ajeeb rang tha majlis ka, khoob mehfil thi
sfaedposh uthey kayen kayen karney lagey

har ek charaag ki lau ....aisi.... soyee soyee thi;

har ek charaag ki lau ....aisi.... soyee soyee thi;
wo shaam.... jaise ....kisi se bichhud ke ...royee thi.

nahaa gayaa thaa main..... kal ....jugnuon ki baarish mein;
wo .....mere kaandhe pe.... sar rakh ke ...khoob royee thi.

kadam kadam pe..... lahoo ke nishaan..... kaise hain;
ye sarzameen..... to..... mere aansuon ne..... dhoyee thi.

makaan ke saath saath..... wo paudhaa bhi jal gayaa..... jis mein;
mahakte phool the...... phoolon mein..... ek titli thi.

khud uske baap ne..... pahchaan kar..... na pahchaanaa;
wo ladki..... pichhle fasaadaat mein.... jo ...khoyee thi.....

Puraney shehron ke manzar nikalney lagtey hain

Puraney shehron ke manzar nikalney lagtey hain
zamin jahan bhi khuley ghar nikalney lagtey hain

main kholta hun sadaf motiyon k chakkar me
magar yahan bhi samandar nikalney lagtey hain

to nakhoono sey khurach kar nikaliye sona
gar kudal sey patthar nikalney lagtey hain

hasin lagtey hain jaadon me subah k manzar
sitarey dhup pehen kar nikalney lagtey hain

bure dino sey bachana mujhey mere maula
karibi dost bhi bachkar nikalney lagtey hain

bulandiyon ka tasawwur bhi khub hota hai
kabhi kabhi to mere par nikalney lagtey hain

agar khyal bhi aye k tujhko khat likhun
to ghonslo sey kabutar nikalney lagtey hain

Sulagte harf ka nashsha utaarne waale

Sulagte harf ka nashsha utaarne waale
Ghazal utaar sahifaa utaarne waale

Ye bhul mat ke abhi sar pe aasman bhi hai
Kisi ke sar ka dupatta utaarne waale

Woh aaj chalne lagey paayenche utthaye huye
Kabhi chadaa hua dariya utaarne waale

Bitthaye phirtey hain duniya ko apni palkon par
Meri nigaah se duniya utaarne waale

Akelepan ke siyaah naag das rahe hain mujhe
Madad parindo ka joda utaarne waale

Mazaak bante hain andekhe haadson ke liye
Zara si baat par chehraa utaarne waale

Hamaari jaan ke dushman bane huye hain aaj
humaari jaan ka sadkaa utaarne waale

na mai kanghi banata hoon na mai choti banata hoon

na mai kanghi banata hoon na mai choti banata hoon
ghazal me aap biti ko mai jag biti banata hoon

ghazal wo tif ne nazuk hai jise apni rifaqat se
wo mehbooba banata hai mai beti banata hoon

mere aagan ki kaliyo ko tamanna shahzadon ki
magar meri bhi majboori k mai bidi banata hoon

wazarat chand ghanto ki mahal meenaar se ooncha
mai aurangzeb hoo apne liye khichdi banata hoon.