Saturday, January 5, 2013

sharik_a_jaan sharik_a_jang ho jaa

sharik_a_jaan sharik_a_jang ho jaa
mai sheesha ho gaya tu sang ho jaa

utar bhi aa kabhi uchaiyon se
tamashe dekh le aur dang ho jaa

tere phelav me tera ziya hai
meri maane to thoda tang ho jaa

zamine lal hoti ja rahi hain
jo ye hai rang to berang ho jaa

mujhe milti hai manzil har kadam par
bhatakta hai to mere sang ho jaa

wafa mizan hain wo dono aankhen'
samender aa kabhi pasang ho jaa

kalander hum alag hi rang ke hain
Kisi din milke rang aa rang ho ja

Jehalaton k andherey mita k laut aya

Jehalaton k andherey mita k laut aya
Main aaaj saari kitabain jala k laut aya

Wo ab bhi rail main baithi sisak rahi hogi
Main apna hath hawa mian hila k laut aya

Badan tha jaisey kahin machliyan thirakti hon
wo behta dariya tha main bhi naha k laut aya

thakan ko odh kar bistar me jaake let gaye

thakan ko odh kar bistar me jaake let gaye
hum apni kabr-e-mukarrar me jake let gaye

tamam umr hum ek dusrey sey larte rahey
magar marey to barabar me jake let gaye

hamari tashna nasibi ka haal mat pucho
wo pyaas thi k samundar me jaake let gaye

na janey kaisi thakan thi kabhi nahin utri
chaley jo ghar sey to daftar me jake let gaye

ye bewakoof unhey maut sey darate hain
jo khud hi saya-e-khanjar me jake let gaye

tamam ur jo nikley na they haweli sey
wo ek gumbad-e-bedar me jake let gaye

sajaye phirte they jhuthi ana ko chehrey par
wo log kasr-e-sikandar me jake let gaye...

Baithey bithaye haal-e-dil-e-zaar khul gaya

Baithey bithaye haal-e-dil-e-zaar khul gaya
Main aaj uskey samney bekar khul gaya

Mitti me kyun milatey ho mehnat rafugaron
ab to libas-e-jism ka har taar khul gaya

dushwaar kaam tha tere ghum ko sametna
main khud ko lapetney main kayi baar khul gaya

kaasey ki ek dukaan pe logon ki bheer thi
hai kaun kitna sheher me khuddar khul gaya

ye barf rate bhi bankar abhi dhuan ud jaye

ye barf raateyn bhi bankar dhuwaan ur jayen...
wo ek lihaf mayn orhun tou sardiyan urr jayen..

bahut gurur hai dariya ko apne hone per
jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jayen

hawayain baaaz kahan aati hain shrarat say
jo sar pay haath na rakhain to pagriaaan urr jaayain

zameeN say aik ta'alluq nay baaandh rakha hai
badan main khooon nahi hooo... to haddiyaan urr jaayain

rahay khyaal ki majzoobay ishq hain hum looog
jo hum zameen say phooonkain to aaasmaaN urr jaayain

Thursday, January 3, 2013

uski katthai aankho me he jantar-mantar sab

uski katthai aankho me he jantar-mantar sab
chaaku-waaku,chhuriyan-wuriyan,khanjar-wanjar sab

jis din se tum ruthi,mujhse ruthe hain
chaadar-waadar,takiya-wakiya,bistar-wistar sab

mujhse bichhar ke wo bhi kahaa ab pahle jaisi hai
Pheekey par gaye kapde-wapre,jewar-wewar sab

aakhir main kis din dubunga,fikren karte hain
dariyaa-wariyaa,kashti-washti,langar-wangar sab

Tulsi ne jo likha ab kuch badla badla sa hai
lanka vanka jangal vangal bandar vandar sab

ishq wishq ke sare nushkhe mujhse seekhtey hain
johar-wohar,tahir-wahir,manzar-wanzar sab

Ye hadsa to kisi din guzarne wala tha

Ye hadsa to kisi din guzarne wala tha
Main bach bhi jata to ek roz marne wala tha

Bulandiyon ka nasha tut kar bikharne laga
Mera jahaz zameen par utarne wala tha

Mera naseeb mere haath kat gaye warna
Main teri maang main sindoor bharne wala tha


Zameen se abke bade faasle uge warna
Wo bhai mujhse bada pyaar karne wala tha

Mere charag meri shab meri mundere hain
Main kab sharir hawaon se darne wala tha