Friday, October 25, 2013
Friday, August 2, 2013
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle
Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle
Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle
Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle
Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Phir sy ankhoon mein khwab "Insha" g???
Phir sy ankhoon mein khwab "Insha" g???
Ijtanab,ijtanab,ijtanab "Insha" g..!!!
tujhse bichar k yehi khud ko saza di maine
tujhse bichar k yehi khud ko saza di maine
tumhari talash main ek umr laga di maine
tumhe jo Dil say nikala to yun laga jaisay
apne andar koi dewaar giradi maine
ghonge Behro'n mein raha jaisay koi nabeena
zindgi tere bina ayse bitadi maine
tujhe achank se jo khoya to laga wasi
zindgi eik hi lamhe mein ganwadi maine
tazaad-e-jazbaat meN yo naazuk maqaam aayaa to kyaa karo ge
tazaad-e-jazbaat meN yo naazuk maqaam aayaa to kyaa karo ge
maiN ro raha huuN tum haNs rahe ho, maiN muskuraayaa to kyaa karo ge
kuchh apne dil par bhi zakhm khaao, mere lahoo ki bahaar kab tak
mujhe sahaaraa banaane waalo, maiN laRkhaRaayaa to kyaa karo ge
mujhe to is darja waqt-e-rukhsat sakooN ki talqeen kar rahe ho
kabhi kuchh apne liye bhi sochaa, maiN yaad aayaa to kyaa karo ge
abhi to tanqeed ho rahii hai,mere mazaaq-e-junuuN pe lekin
tumhaare zulfoN ki barhamii kaa sawaal aayaa to kyaa karo ge
abhi to daaman chhuRa rahe ho, bigaR ke 'Qabil' se jaa rahe ho
magar kabhi dil ki dhaRkanoN meN shareek paayaa to kyaa karo ge
Qabil Ajmeri
Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri,
Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri,
Usay Khabar Hi Na Thi, Khaak Keemiya Thi Meri,
Main Chup Huwa To Woh Samjha Ke Baat Khatam Hui,
Phir Uss Ke Baad To Aawaaz Jaa-Baja Thi Meri,
Jo Taana-Zan Tha Meri Purshish-E-Dareedah Par,
Usi Ke Dosh Pe Rakhkhi Huwi Quba Thi Meri,
Main Uss Ko Yaad Karoon Bhi To Yaad Aata Nahi,
Main Uss Ko Bhool Gaya Hoon Yahi Saza Thi Meri,
Shikast De Gaya Apna Ghuroor Hi Uss Ko,
Wagarna Uss Ke Muqaabil Bisaat Kya Thi Meri,
Kaheen Dimagh Kaheen Dil Kaheen Badan Hi Badan,
Har Ek Se Dosti Yaari Judaa Judaa Thi Meri,
Main Uss Ko Dekta Rahta Tha Hairaton Se 'Faraz',
Ye Zindagi Se Ta'aruff Ki Ibtedaa Thi Meri ...
Subscribe to:
Posts (Atom)