With regard to excellence, it is not enough to know, but we must try to have and use it.
Tuesday, April 9, 2013
Monday, April 8, 2013
Purane daanv par har din naye aansoo lagata hai
Purane daanv par har din naye aansoo lagata hai
Wo ab bhi ek phate rumaal par khushbu lagata hai
Main kali raat ke tezaab se suraj banata hun
Meri chaadar main ye pevand ek jugnu lagata hai
Usey kehdo ki ye unchaaiyan mushkil se milti hain
Wo suraj ke safar main mom ke bazoo lagata hai
Namaz e mustakil pehchan ban jati hai chehron ki
Tilak jis tarah maathe par koi Hindu lagata hai
Yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi
Bahut phere hamare ghar ke ek saadhu lagata hai
Andhere aur ujaale main ye samjhota zaroori hai
Nishana hum lagate hai thikana tu lagata hai
Na jaane ye anokha farq usme kis tarah aaya
Wo ab kaalar main phoolon ki jagah bichhu lagata hai

shahar me.n Dhuu.ND rahaa huuN ke sahaaraa de de
shahar me.n Dhuu.ND rahaa huuN ke sahaaraa de de
ko_ii haatim jo mere haath me.n kaasaa de de
pe.D sab nange faqiiro.n kii tarah sahame hai.n
kis se ummiid ye kii jaaye ki saayaa de de
vaqt kii sangzanii noch gaii saare naqush
ab vo aaiinaa kahaa.N jo meraa cheharaa de de
dushmano.n kii bhii koii baat to sach ho jaaye
aa mere dost kisii din mujhe dhokaa de de
mai.n bahut jald hii ghar lauT ke aa jaaungaa
merii tanhaaii yahaaN kuchh dinon peharaa de de
Duub jaanaa hii muqadar hai to behatar varanaa
tuune patavaar jo chhiinii hai to tinkaa de de
jis ne qataron kaa bhii mohataaj kiyaa mujh ko
vo agar josh men aa jaaye to dariyaa de de
tum ko "Rahat" kii tabiiyat kaa nahiin andaazaa
vo bikhaarii hai magar maa.Ngo to duniyaa de de
masjido.n ke sahan tak jaanaa bahut dushvaar thaa
masjido.n ke sahan tak jaanaa bahut dushvaar thaa
der se nikalaa to mere raaste men daar thaa
apane hii phailaao ke nashe me.n khoyaa thaa daraKht
aur har masuum Tahanii par phalon kaa baar thaa
dekhate hii dekhate shaharo.n kii raunaq ban gayaa
kal yahii cheharaa thaa jo har aaiine pe baar thaa
sab ke dukh suKh us ke chehare pe likhe paaye gaye
aadamii kyaa thaa hamaare shahar kaa aKhabaar thaa
ab mohalle bhar ke daravaazo.n pe dastak hai nasiib
ek zamaanaa thaa ke jab mai.n bhii bahut Khuddaar thaa
kaaGazon kii sab siyaahii baarishon men dhul gaii
ham ne jo sochaa tere baare me.n sab bekaar thaa
cheharon kii dhuup aaNkho.n kii geharaa_ii le gayaa
cheharon kii dhuup aaNkho.n kii geharaa_ii le gayaa
aaiinaa saare shahar kii biinaai le gayaa
Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa karen
ye haadasaa to soch kii geharaaii le gayaa
haalaaNki bezubaan thaa lekin ajiib thaa
jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaaii le gayaa
is vaqt to main ghar se nikalane na paauuNgaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaaii le gayaa
jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan me.n
jo motiyon se chhiin ke sachchaai le gayaa
yaadon kii ek bhiiD mere saath chhoD kar
kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaaii le gayaa
ab asad tumhaare liye kuchh nahii.n rahaa
galiyon ke saare sang to saudaaii le gayaa
ab to Khud apanii saaNse.n bhii lagatii hain bojh sii
umron kaa dev saarii tavanaaii le gayaa
aaNkh pyaasii hai koii manzar de
aaNkh pyaasii hai koii manzar de
is jaziire ko bhii samandar de
apanaa cheharaa talaash karanaa hai
gar nahii.n aainaa to patthar de
band kaliyo.n ko chaahiye shabanam
in chiraaGon me.n roshanii bhar de
pattharo.n ke saro.n se karz utaar
is sadii ko koii payambar de
kah_kahon men guzar rahii hai hayaat
ab kisii din udaas bhii kar de
phir na kahanaa ke Khud_Khushii hai gunaah
aaj fursat hai faisalaa kar de
Subscribe to:
Posts (Atom)